Ashna tab ***EDITED***saal ki choti si bacchi thi. Apne ma-baap ki ikloti santaan hone ke karan wo kafi ziddi thi. Zindagi ki har khushi uske kadmon main thi. Uske pita yun to ek mamuli wakeel they per apni beti ki har zid puri karna unka dharam jaisa ban geya tha. Patni ki mout ke baad wo dono ek dusre ka sahara they. Ashna ki maa use 2 saal pehle he chod ker chali gei thi. High BP ki shikaar thi. Jab Ashna 8 saal ki hui to uske pita ne use Dalhousie main ek boarding school main dakhil karwa diya. Ashna ki zid ke aage unhe jukna pada aur yahan se shuru hua Ashna ki zindagi ka ek naya safar. Wo apne papa se door kya gei ke uske papa hamesha ke liye usse door ho gey.
Hua yun k Ashna ke pita ji aur Virender ke pita ji sage bhai they. Virender us wakt 25 saal ka navyuvak tha. Mazboot badan aur tez dimag shayad bhagwaan kisi kisi ko he naseeb main deta hai. Virender ek aisi shakshiyat ka malik tha. Marketing main MBA karne ke baad usne papa ke business ko join kar liya tha. Virender ki mata ji ek grahini thi aur uski choti behan CA ki tayiari kar rahi thi. Pura parivaar hasi khushi zindagi guzar raha tha per Ritu (Ashna ki maa) ki mout ke baad unhone kafi zor diya ke Rajan (Ashna ke papa) dusri shadi kar lein ya unke sath settle ho jayeen. Rajesh dusri shadi karna nahin chahta tha aur apni wakalat ka jo sikka usne apne shehar main jamaya tha wo dusre shehar main jake fir se jamane ka wakt nahin tha. Isi silsile main ek baar Virender ke mata-pita aur choti behan ek baar Rajesh ke shehar gey taki wo kisi tarah use mana ker apne sath le ayeen per honi ko kuch aur he manzoor tha. Unhone rajesh ko mana to liya aur apne sath laye b per rastey main ek sadak dhurgatna mian sab kuch khatam ho geya.
Virender ko jab yeh pata chal to wo apne aap ko sambhal nahin paaya aur ek dam se khamoshi ke andhere main dhoob geya. Ashna aur Virender ne milker unka antim sanskaar kiya per Virender kisi hosh-o-hawas mian nahin tha. Ashna ki umer choti hone ke karan Virender ki company kePA ne samajdari dikhate hue use jaldi he boarding bhej diya taki wo is dukh ko bhul sake per Virender ko to jaise hosh he nahin tha ke wo kon hain aur use us bacchi ko sambhalna hai. Ashna ke dil-o-dimag per Virender ki shakshiyat ka kafi gehra asar pada. Wo usse nafrat karne lagi aur is nafrat ke he asar tha ke dono bhai behan 12 saloon tak ek dusre se nahin mile ya yun kahe ke Ashna ne kabhi milne ka moka he nahin diya. Dhere-Dhere Virender ki zindagi main thehraav aat chala geya. Wo sab se katne laga per apne business ko bakhubi anjaam deta aur Ashna ki Fee aur baki ki zaroortoon ka b dhayan rakhta per Ashna ko iski bhanak b nahin lagne di. Wo janta tha ke Ashna use pasand nahin karti aur usne b use manane ki koshish nahin ki. Zindagi se kat sa geya tha wo use koi fark nahin padta tha koi uske baare main kya sochta hai. Din bhar kaam aur sham ko ghar main Gym yahi uski routine reh gei thi.
Lekin uski zindagi main koi tha jise wo apna har haal sunata, mera matlab likh ke batata. Ji haan sahi samja apne Virender ko tanhaiyoon main Diary likhne ki aadat thi. Wo ghantoon baith ker likhta rehta. Us diary main wo kya likhta kisi ko b pata nahin tha. Kisi ko kuch pata b kaise lagta Itne alishan Bunglow main uske alawa Unka purana noukar Bihari he rehta tha jo ki anpadh tha. Pehle wo b Bahar servant quartes main rehta tha per ab wo ground floor main bane ek store main so jata tha taki Virender ko raat ko b kisi cheez ki zaroorat pade to wo foran use pura kar de. Aksar wo rat ko uthkar Virender ke kamre tak jaata aur Agar virender Diary likhte likhte so geya hota to use acche se chadar se dhak ker room ki light band kar deta. Aisa aksar hota ke Virender Gym karne ke baab kuch der aram karta, Phone per business ki kuch deals karta aur phir dinner ke bad apne room main diary likhne baith jaata. Loogon ki nazar main uski itni he zindagi thi per uski zindagi main aur b kafi tufaan they jinki sard hawa se Virender he wakif tha.
Miss Ashna Dr. apse milna chahte hain....... is awaz ne Ashna ki tandra ko toda.
Ashna: Bhiya ko shift kar diya aap ne
Ward boy: Haan, wo Dr. sahab aapse milna chahte hain. Ashna: tum chalo main abhi aati hun. Wardboy ke jaane ke baad Ashna ne Apni jacket ki zip band ki, Aaj kafi thand thi. Sard hawayeen shareer ko jhikjor rahi thi. Ashna Dr. room ki taraf mudi he thi ke uske kadam Ruk gey. Wo fir se mudi aur Cabin ke Glass se usne Virender ko dekha fir tezi se mudkar Dr. room ki taraf chal di.
To b continue.............................
Friends Hindi zyada nahin aati hai. Galtiyaan maaf karna.
Don't forget to respond.
0 comments:
Post a Comment